ek tarana yeh bhi

[with apologies to Majaz]
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka Hizbul hun
Sar kalam kafir ka Ghazi hun, basta lab karnay ka Jazba hu
Ye mera chaman hai mera chaman, ye mera chaman hai mera chaman
main apne chaman ka Hizbul hun
Jo haraam taaq taaq may khojay hai, wo aag jala kar aya hu
Is dasht ke goshe goshe se, ab ek joo-e-maut ubalti hai
Ye dasht-e-junoon deewanon ka, ye bazm-e-wafa parwanon ki
Ye shahr-e-maatam farmaano ka, ye dozakh-e-bareen armanon ki
Fitrat ne sikhai hai ham ko, aghlaat jahan parwaaz wahan
Gavaye hain wafa ke geet yahan, chhede hai junoon ke saaz yahan
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka hizbul hun
Is bazm mein taighein khencheen hain, is bazm mein so ghar tode hain
Is bazm mein aankhay khoye hai, is bazm mein dil tak tode hain
Har shaam hai shaam-e-Arab yahan, har shab hai shab-e-Pak yahan
Hai saare jahan ka soz yahan aur roos ka sasta saaz yahan
Zarraat ka bosa lene ko bhi, sau baar jhuk tu hai baatil yahan
Khud aankh se ham ne dekhi hai, Hind ki shikast-e-faash yahan
Ye mera chaman hai mera chaman, ye mera chaman hai mera chaman
Main apne chaman ka Hizbul hun
Jo abr yahan se uthega, wo saare jahan par barsega
Har joo-e-rawan par barsega, har koh-e-garan par barsega
Har sard-o-saman par barsega, har dasht-o-daman par barsega
Khud apne chaman par barsega, ghairon ke chaman par barsega
Har shahr-e-tarab par garjega, har qasr-e-tarab par kadkega
Ye abr kab barsay ga, ye abr kab barsay ga
Ye abr kab barsay ga, Ye abr kab barsay ga
Ye abr kab barsay ga, Ye abr kab barsay ga
Barsegaa, Barsegaa, Barsegaaa
~ Mazak

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

Facebook
YouTube
Instagram
RSS